Kho na jaaun mai
Kahi is bheed bhaad ki duniya me kho na jaaun mai
Apni ijjat ko bachate bachate kahi apne lakshya se bhatak na jaaun mai
Pariwar ka maan rakhte rakhte kahi apne sapno ke pankh khud na kaat du mai
Dusro ki sunte sunte kahi apne dil ki na sunna band kr du mai
Sanskari bante bante kahi apna astitva khud na kho du mai
Apne aapko kisi aur ke havale karte karte kahi apne aap ko na kho du mai
Kahi is bheed bhaad ki duniya me kho na jaaun mai..
Comments
Post a Comment