Posts

Showing posts from June, 2026

PYAAR AUR PANKH

Image
  Mana ki Pyaar karte ho mujhse Meri smile pasand hai Dressing sense pasand hai Par kya mere sapne ko pasand kar paaoge? Kya mujhe tab bhi pasand karoge jab mai apne Sapno ko sawarne me thori vayast hongi? Ya "matlabi" or "too ambitious" samajh ke bhool jaoge  Pasand ho mujhe tum Lekin mere Sapne meri jaan aur pankh hai  Pankh ko  kaat ke agar paana chahoge mujhe  toh tumhe ek mari hui gudiya milegi  Par pankh ke saath accept karoge na  Toh sach kahu toh tumhe bhi saath lekar ud jaaungi Bas mere sapno ke liye tholiii sii jagah bna lena 

"Mai Hoon Kaun"

Image
  Ek Agni ki chingari nhi balki poori prachand jwala hoon mai jo lambe samay se tadap rahi thi Usi tadap ka ek badla hoon mai hoon nahi mai komal ab kar chuki hoon dharan maa kaali ka avatar sirf badla lena mera maksad nahi apne aapko rakhna mera maksad hai Jhaansi ki raani mujhe keval ab pasand nahi balki khud me hi hoon mai uska avatar  dikha doongi mai duniya ko apna jajba  Ab jaag gayi hoon toh vapas sone ka irada nahi Man me mere nritya kar raha hai taandav Bata raha hai sabko ki mai koi aur nahi  jo barso pahle tadap rahi thi Usi tadap ka badla hoon mai  Mai kaun hoon , mai kaun hoon  Ek Agni ki chingaari nhi  Balki ab poori prachand stree hoon mai